Friday, March 27, 2009
tera khayal is dil se ja nahi sakta,tamam umr main tujhko bhula nahi saktakarta hoon deedar tera din raat magar,mazburi to dekh tujhko bata nahi saktagam ko hasi mein dabaye firta hoon,palkon mein aansu chupaye firta hoonpar dikh na jaye kahin tujhko,inko aankhon se gira nahi saktajana chahta hoon teri nazron se dur,bhulana chahta hoon tujhko jarurna jee paonga magar bhula ke tujhe,lekin jeete jee tujhko paa bhi nahi saktamil jata jo mujhko agar tera saath, nahi mangta rab se, main kuch uske baadmagar mere naseeb mein nahi tera pyar, is sachhai ko mein jhuthla nahi saktadil mein mere sada basti hai tu,har waqt khayalon mein rehti hai tumagar na ho jaye badnam kahin,jahan ko tera naam bata nahi sakta
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment